Dil ke dard ki hoothoon tak laate to jal jaate woh
bas tabhi is tapis ko dil main baandh liya hai
Daastan jab suni ooroo ki bebas
dard aapna bas phir ek zarra sa laga hai
chehra kahie jo muskurahaat ka sabab tha
kyon aaj woh haasi ka roop badal gaya hai
phool-daali sa bandhan hi to bas chaha tha
dekho par taqdeer ne raat-din sa bana diya hai
daayre dard ke kar gaye hai kuch is tarah tanha
ehsaas bhi maano saath ab chod gaya hai
kaise baayan kare us nazar ke churane ko
woh nazar jo kabhi dil churatee the
chahat-e-deedar kuch tadapne eese laga hai
khawab main bhi chehra ab dil ko behlata nahin
daastan aapni chaahtoo ki kuch is kadar hoti hai bayan
chah din main chaand ki thi, par raat woh aamavas ki nikli
Jaise milte hai teri yaad har mod pe..
Kash un rahon tum hamsafar bhi hote
chalee the jab saare raaste tere ghar tak pahuchte the
doosh kise de jab tumne bataye bina hi aasiyaan badal liya
kash zindagi ek kavi ki sooch ki tarah hoti,bas muskuraate
aur pal main apne saathi ke pehloo main pahuch jaati
No comments:
Post a Comment