I had a collection of songs, a pack of 5 cassettes, for Lata ji.IN that there were lot many persons who said something abt Lataji after which the songs followed.Here is one of them
Smita patil
Didi ki main bhakt hoon, har waqt unki Awaaz sunti hoon to mere Rongte khade ho jate hain.Didi ko main un Logon mein se Manti hoon jinhone is Duniya mein bahut bade kam kiye hain. Jinki awaaz ne is duniya ke logon ko dukh ke Mauken per Shanti di hai. Didi ke samne bus yahi kah sakhti hoon ki jahan Devatv ki Prachti hoti hain Uske Samne sirf apne Haath judte hain.
The song which followed this was "Saware ke raan ranchi rana ji" , a bhajan by Meerabai...still in serach of this song again
NARGIS DUTT (actress):
Lata kisi tareef ki nahin, balki parastish ke kabil hain. Unki awaaz sunne ke baad kuch aisa aalam-tari ho jata hai jise bayaan karna bada mushkil hain. Yun samajhiye jaise koi dargah ya mandir main jaye, to vahan pahunch kar ibadat ke liye khud-ba-khud sar jhuk jaata hain aur aankhon se besakhta aasoon behne lagte hain.
NOORJEHAN (singer/actress):
Log kahte hain ki Lataji tumhe Itna Manti hain, Lataji tumhe Ustad samjhti hain, tumhe Pyar karti hain. Yeh sab Main samajhti hoon unka Badapan hain kyonki Lata to Lata hain. Lataji ki tarah meri nazar mein to koi aaj tak Paida nahin hua.,
Lataji ko Allah ne awaaz di hain, Ilm unhe unke Wallid Saab se mila, Khuda ki taraf se unpar Karam hain.
REKHA (actress)
Lata Mangeshkar ek Ehsaas hain jo Mehsoos kiya jata hain Baiyan nahi.Yeh ek Naam hain jisse Sun kar mere Man mein Sukoon aur Chehre par Muskurahat aa jati hain. To me she is etherial someone from another world, larger than life, no less than a Godess a 'Devi'.
This one Name evokes a million feelings inside me. I have cold feet, weak knees, a knot in my stomach, a smile on my lips & tears in my eyes. In other words I feel 'Alive' when I hear this name Lata Mangeshkar.
read more bhajans by meerabai at http://www.gitananda.org/mirabai/mirabai.html
ReplyDeleteor www.gitananda.org