Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
kabhi saaath jeene ki aadat thi
aaj khawaboo main milne ki aadat hai
Aadat bhi ajab hai
roop badal peeghalti-peeghlaati hai
kabhi haansti, kabhi roothti manati hai
Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
kabhie saath kadam badane ki aadat thi
aaj un nisaanoo ko thaamne ki aadat hai
aadat bhi ghajab hai
laboo ke ghulab aakhoon ki nami hai
palkoon par khelti, roolati satati hai
kabhi yoon hi muskuraati hai
Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
Kabhi har lamha tujhe paane aadat thi
aaj har pal tujhe khoone ki aadat hai
Aadat bhi aadat hai
kabhi banati kabhi bigadti hai
har saans se ban jaate hai meri
par yaad teri kahlati hai
aadat to aadat hai
dil ki dhakan main meri bajti hai
par dhun teri sunate hai
haathoon ki lakeroon main to sajti nahin
aur taqdeer meri kahlati hai
Aadat to aadat hai
aakhoon se chalakti hai meri
par tanhaayee teri ban jaati hai
Aadat to bas aadat hai
mujhe aadat ki aadat hai
aadat jo meri hai
aadat jo tujhe mera banate hai
aadat bas aadat hai
Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
-Tushar
No comments:
Post a Comment