woh khooye aapne main hi bas rahte hai
humaare paas hoone ke ehsaas se bhi bekhabar rahte hai
hum aapni kya kahe
woh saath humaare nahin, aisa to hoota nahin
kabhie saamne baithe rahte hai
kabhie hum unke khaayaaloo main rahte hai
paloo main mahkte hai ,
ehsaaso koo bahkate hai
hum unke saath jeete hai
hum unhi pe marte hai
patoo ke saath lahraate hai
gulmohar humare ban jate hai
unhi ke saath chalte hai
zindagi woh humaari thamte hai
peele saarsoo se chahkte hai
basanti shaam se bahte hai
woh hai to aandhere jagmagate hai
woh nahin to taare humare saathi ban jaate hai
Woh hai to hum hai
humaari sooch, humaari haqueqat hai
humaari saanse, humaari aahe hai
wohi to hai jo humme
Ek roh se utha
Ek jaan bana jaate hai
woh saath humaare nahin, aisa to hoota nahin
kabhie saamne baithe rahte hai
kabhie hum unke khaayaaloo main rahte hai
-Tushar
No comments:
Post a Comment