Saturday, September 22, 2007

kitne baatein kahni thi...

kitne baatein kahni thi
kitne raatein jaagi thi
tere intezaar main
tere aane ki rah main

woh chaand bhi chala gaya
raat safar ke baad bhi
dhoonda tumhe ujaloo main
shaam ke jalte chiraago main

kuch sapney tere saath ke
jeevan ki har raah ke
badte kadam teri aas main
jeete dua har saans main

dil kahi ab lagta nahin
tu nahin too kuch nahin
tanha khade hai bheed main
adhoore se door pyaar main

muskuraate hai pal sooche jab
hoga kya tum aayoge tab
paa lege tumhe har raang main
kooyi meera, shyam sang main

kitne baatein kahni thi
kitne raatein jaagi thi
tere intezaar main
tere aane ki rah main
-Tushar

1 comment:

  1. wow..
    Jealously feeling tht u write it..not me..

    Reminded mine creation..
    long time back

    जब शाम का हुस्न उड़ जाता हिं..
    दिन भी कलि रात लगने लगता हैं..
    उनका इंतजार उस शाम तक हैं..
    जो कभी टकराएगी नहीं…
    पता हैं व्हो नहीं आएंगे
    पर उनके इंतजार मैं हम पलकें तो बिच्चायेंगे
    साथ थे जब व्हो तो वही शाम सुंदर थी..
    आज व्हो स्याह रंग से रंगी हुई…
    डरती हुई..
    सताती हुई..
    वोह शाम कब आयेगी..
    जब साथ होगा उनको..
    वोह शाम का हुस्न फ़िर हसीं होगा..
    न कभी ख़त्म हो व्हो शाम आ जाए..
    पर फिलहाल तो बस इंतजार हैं उस शाम का…

    ReplyDelete