Sunday, October 21, 2007

… duniya aise hoti hai…

Aakh se chal laboo tak jo pahoochi hai
khamoshi nahin, dard ki zubaa aise hoti hai

raaste jo bhikhre lambe tanha se hai
mera kasoor nahin, duniya aise hoti hai

tasveer basi aakhon main yaad ki hai
intezaar tera, raat aanchal bheegooti hai

mile nahin par kuch judwa aise hai
naam mera, ruswaaiye teri hoti hai

lamhe bun bewajah waqt thaama hai
bandh muthi khulte hi khaali hoti hai

dard ki zard safed chadar oode hai
maut kya, zindagi aise hoti hai

saath tum ho roomani mausam hai
khawab hai, haqueqat kahan aise hoti hai

After I wrote above and shared with few friends, they asked me why so much pain and darkness.So I came for the light with the flip version of above.

Aakhon se chal Aakhon tak jo pahoochi hai
khamoshi sahi, jhuki palkeein bhi izhaar hoti hai

raaste badte hai, modh thahar jaate hai
milte hai dil, duniya meri hoti hai

teri tasveer basi aakhon main hai
har manzil tujse bayaan hoti hai

mile hai kuch aise judwa se hai
naam tera, kahani humaari hoti hai

lamhe bun moti se waqt thaama hai
milte hai aur yaad jawa hoti hai

aanchal khawaboo ka yoon lahraya hai
aise main zindagi muskaan hooti hai

tum nahin, dekho chaand bhi tanha hai
tum aaye, tanhaaiyaan rukhsat hoti hai
-Tushar

No comments:

Post a Comment