Sunday, October 28, 2007

Bas...

khawab ki zindagi itni thi bas
aakh khulte hi haqueqat se toot gaye
woh na mil sake hum se kabhie
bandh aakhon main jo rahte the bas

waqt ud raha hai dhuaa sa bas
koi chingari kahi jalti nahin
zarra-zarra sulag rahe hai aarmaan
yeh kahani aab rukti nahin bas

rukte hai dard ki mahfil main bas
har gazal main woh samaye hai
har jaam ki madhoosi un se hai
hum unhe bhula na paaye bas

chaand kahta hai dastaan-e-noor bas
sunte hum bhi hazaroo main rhai
raat ji rahe hai jaag ke hum bhi
badal ban saath chal na paaye bas

phool pe oos ki boondh thi bas
thari ruki phisal gayi
ashaq bhi phisalte hai gaaloo pe
thahrte to mere hote bas

rista apna ek shaam tha bas
aayi shaam ruki, raat hui
samjhe kaun samjaaye kyon
duniya phir bhi haas degi bas
-Tushar

No comments:

Post a Comment