Tuesday, August 08, 2006

ehsaas hai mujhe

Tooti chookhat par uss apni hi dastak se
mausam gujrne ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
Is makaan ke har koone main khelte har saaye se
bachpan ke jaane ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
mandir main rakhi rudraksh ki sithir(motionless) mala se
khatam hui daadi ki khaniyoon ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
purani raadi ki dhool (dust) se jhakate neele dhabboo se
apni hi tasveeroo ke khoone ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
barghad ke sukhe tooth se uterti beloo se
sawan ke beet jaane ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
banjaar se khaat (cot) par letne se
maa ke aachal ke saaye ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
vaarshoo baad in parchaiyoon ke ubharnee se
dhalti dhoop ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
tahlte hue in sooni galiyoon se
apnepan ki baarish ka shayad ehsaaas hai mujhe ...

In bemaani kaagazoo par dasthakhat (signature ) jaadne se
aapne hi sharir ke kissi aang ke katne ke dard yakeenan aaj hai mujhe ...

-Tushar

No comments:

Post a Comment