Tuesday, August 08, 2006

Ek safar ...

woh door suraj dhal raha tha,
woh paas shama bhuj rahi thi,
woh sooch thi yaa haquekat
jo meri aakhoon se bah rahi thi .

mitti ke saqt farsh par lete hue , chandni ka intezaar hai ,
us door se aati bachoon ki sharaat bhari awaaz se bachpaan ka ehsaas hai .

aaj apni dhooti ke raang pe ,
jeevan ke saare saaye samete hai ,
yeh kuch tansveeryain hai ,
kuch pal ....ek humsafar se hai

baaithe hai mere saath meri tanhaiyoon main ,
jo carvaan banate hai chale mere is safar main (woh pal)

Tushar

No comments:

Post a Comment