6th Aug 2006, I happen to meet some old buddies Kanika and gaurav dhama from my '97 batch .....so in continuation of the tryst effect here comes it
pooraani kitaaboo ki dhool jhadhte hue
sukhe gulaboo ne pooche mahkte hue
kya en cheroo ko jaante hoo ?
In aawaazoo koo pehchannte hoo ?
un dhoondhaali tasveroo ko poocha jab,
aakhoon main saaye kuch lahraayeen tab
ye naam kuch jaane-pehchaane se hai
tehre joo aab kahi afsaanoo se hai
in phooloon main abhi jhuriyaan nahin hai
bandhaanoo ki door abhi tooti to nahin hai
rishta ghahra abhi bhi un muskaanoo se hai
parchaiyoon main beete pal ghooye se hai
mulakaat ye sirf yaad bhi rahe too gaam naahi
aandhi phir dhool jaade to gham nahin naahi
pata hai phir un kitaboo ko jhadege
unme soote tasveroo ko paalege
mile hai jo muskil se yeh kirdaar ,
inhe ab umarbhaar yoo hi sawarege ...
-Tushar
No comments:
Post a Comment