Thursday, September 07, 2006

a communication

I never thought this will go so long.staeted with anshul, this communication will have inputs from me and chakresh and unbelievablly from arun too.
So I am framing every phase of it.

1)Anshul gave me a frame of his

aarzoo hai ki saja le apna ashiyhaan
mukammal karle apna har armaan
dhoonda aur chaha to bahut usko
par chota pad raha hai ye jahan
banane ke liye wo ashiyhaan


2)I responded in my way

Khawaaishyoon ki koi seema nahin
vistaar hai aasmaan se bada unka
zarorat nahin jahan ki aashiyaan ke liye
muskuraana baas kaafi hai unka Tushar

3) Chakresh wrote in response , when asked by ND

Karte hue intzar tumhara ho gayee hian sham
Yeh kaala asman kahin kala hi na raha jaye
Na aye tum to kabhi na hoga savera…
Reh jayega aise hi meri jindagi main andhera…


4) I wrote to revive him

Bemaani na samjhoo intezaar ke paaloo ko
Ehsaas unka dil ke kareeb ,un paloo se bhi hai
baithye kyon ho maayush saavere ki chah main
shamaa ki loo bhi chehra jab dekha jaate hai
-Tushar

I also made a new version of the above couplet, just for the sake of it

Bemaani na samjhoo intezaar ke paaloo ko
Ehsaas unka dil ke kareeb ,un paloo se bhi hai
baithye kyon ho maayush saavere ki chah main
shamaa main jalte parwanoo sa sabab jab tumhara bhi hai
-Tushar

5)Chakresh was not ready to give his saturine mood and went further

Jab sham ka husn ud jata hian..
Din bhi kali raat lagne lagta hain..
Unka intjar us sham tak hain..
Jo kabhi takarayegi nahin…
Pata hain who nahin ayenge
Par unke intjar main hum palken to bicchayenge
Sath the jab who to wahi sham sundar thee..
Aaj who syah rang se rangi hui…
Darati hui..satati hui..
woh sham kab ayegi..jab sath hoga unko..
woh sham ka husn fir haseen hoga..
na kabhi khatm ho who sham aa jaye..
par filhaal to bas intjar hain us shaam ka…


6) Arun , I guess bored or frustrated with these long mails, said this

Kyion hawa dete ho buji hui aag ko
Kahi koi chingari aag na laga de es jahan ko !


7) But I was in synch with chakresh and wrote this, a bit not poetic , but just wanted to frame something , did it in office so a less ryhming but was expressing me

tanha shaam nahin
channd sitare badal hai sambahale usne apne acchaal main

tanha din nahin
paatte (leaves) panchi fiza hai pale usne aapni baahoo main

to us raat-din ke saath tanha main kaise ho sakta hoon
saathi saangi pyaare jab hai mile in rahoon main
kuch mile , kuch chote ,
kuch ruke , kuch bade
par yaadyoon ki mithi misri bani hai aafsanoo main

In sab ke saath agar akela darta hoon
apne ko agar doosh deta hoon
to sahi main main kahin soo raha hoon
kuch paane ki dhoon main sab khoo raha hoon

jagna to hoga
badna to hoga

sunane kuch beete lamhe aapne ko hoge
un mitthi yaadyoon se gham dhoone to hoge

jadtha ki barf aaj todke
kaantoo ki chuban choodke
sapney kuch aur paalte hai
lahraate fiza main gaate hai

pyaar hi bas batana aasaan duniya main hai
wapas usse pane main kahin woh hi ghata hai

sirf karna chotta ek kaam hai
kissi baache ko bas hasana hai

zindagi phir maasoom ho jayege
kilkari baahoon main kai goonj jayege

to bas chalo chalte hai
haste hai aur haasate hai
humsafar bahoot hai
chalo sabko aapne khayaal sunate hai
-Tushar

No comments:

Post a Comment