Kuch dena tha us saaye ko
raat main bhi jo ubhartaa hai mere saath
meri hi parchaiyoon ke khoone par
muskurata hai jo mere saath
naam de sakta hoon aapna usse
pratibimb (shadow) mera hi to hai woh
mere in nainoo pe paltee
sapnoo ka sutradhaar hi to hai woh
par naam na doonga aapna,
ki pehchaan uski mujhse nahi, meri usse hai
jeevan paath main sahayaak, disha nirdeshak mera wahi to hai
par kuch kehna too hai usse
pehchaan ek denne to hai usse
kya par hai sawal khada ?
jisse aaj ,
soocha bahoot, samjha bahoot
toola bahoot, jaana bahoot
uderhbun main sooch raha tha tab
mil gaya jawab usse-se aaj mujhe
muskuraa kar bheed main pukara jab
"DOST" kahkar ussne aaj mujhe
-Tushar
No comments:
Post a Comment