palkoon main muskuata khayaal aapka hai
aakhoon main basaa khawaab aapka hai
pal koi beetata nahin ek naam ke bina
us naam main tasoovaar aapka hai
hawaoon main lahraata aanchal aapka hai
raang gulaab main bhaara aapka hai
chalti nahin zindagi dhadkan ke bina
wo dhadkan sunata dil aapka hai
haathoon main ubhaarta saaya aapka hai
karta madhoosh sangeet aapka hai
saanseein simatate nahin fiza ke bina
un fizayoon main mahkata ehsaaas aapka hai
maay main bhikara shabab aapka hai
rijhaata bhavroon ko raas aapka hai
chaand khilta nahin chandni ke bina
us chandni se dhalta noor aapka hai
meri maauzoo ka saahil aapka hai
meri ashiqui ka saabab aapka hai
thahaar jaate hai raaste humsafar ke bina
us humsafar saa saath aapka hai
-Tushar
No comments:
Post a Comment