kuch saaaye kuch parchaiyaan
kuch chahat ke sajde
kuch badaloo pe rakhi ummeedein
barastee rahi tarastee rahee
chaand aasmaan main jaade suraakh ki tarah jhaakta raha
aur raat aandhe kuan ki taraf mooh khoole haaftee rahi
raaste paav tale se sarakte rahe
na ruke na thame
na rooka na poocha
zindagi kis talash main hai
zindagi jaise thakne lagi hai
aur yeh zindagi ka judwaa uski ungali thaame sahar ki nagi sadkoo par
abhi tak
kuch doondh raha hai
kuch bin raha hai
-Gulzar
No comments:
Post a Comment