Jinse milne ki hi ek aarzoo se
zindagi ka har pal jiya hai
jinhe ek aapni manzil maan
aapne raastoon ka safar buna hai
kyon aaj unse mulakat
sirf ek aur lamhe se hai
kyon usse pa ke,dil khamosh sa hai
kahi kuch mahka nahin
sard mausam main hawa ka rukh bahka nahin
kyon aaj "hum" "main" nahin
kyon aaj woh beete waqt se thahre nahin
aarzoo woh poori to hui hai
saath hum tum hai, par tanha nahin
khade hai saat beete woh saare pal
jinse humne har saans se kuch kaha hai
jo en badte faasloo main
tumne kabhi suna nahin
daayre tay kuch aise hai kiye
ki humaare lafzoo main ab
aapni hi kahani nahin
-Tushar
No comments:
Post a Comment