ek seekh dee hai kuch beete ristoo ne ,
ristoo ke baare main
saaloo lagte hai ek ristee ko uska roop dene main
aur woh hota hai barf jaisa
varshoo ki laagat mahnat se
roz thoos hoota hua
par jahan kuch rook gaya
naye parat thamne lagi
woh khaamoshi woh doori chingaari se ho jaate hai
saaloo ke riste ke putle ko
dino main pighala jaate hai
aur kabhi ahankaar hi chir deta hai
us aapne kaya ko
bas kuch bahte paloo main
par aaj bhi yeh raaz nahin khool pa raha hoon
ki samay se kiya woh thoos bandhan
kya paaloo ke saath nazuk hoon jata hai
woh kuch lamhoon ki aag se
aapne ko yoonhi bhasam kar pata hai
phir us jali raakh aur jaalate hai , kachotati hai
Kyon diya itna ise
jo bas itne se toot gaya
kyon hoota hai rista barf ke dheer sa
tharta kam aur
bas jaise phighalte ehsaas sa
-Tushar
No comments:
Post a Comment