zindagi ke kuch rang aise hai dekhe
kuch gulaabi saath gujari shaam thi
baki teri ankahe din beete hai
baki meri ansuni raatein kati hai
chaand-suraj saath pehlu main kam hai dekhe
kuch mahke kohre ki woh chaadar hi thi
baki jaith main jalti dharti teri hai
baki tushar se pheghalti zameen meri hai
indradhanush ke saat chehre haanste hai dekhe
kuch oos ki kirnoo ke mel se thi
baki saawan ki baarish teri hai
baki pathjhad ke mausam mere hai
wahan door aasmaan-zammen milte hai dekhe
kuch unki mohabat ki tamanaa se thi
baki bhaagte woh raatse tere hai
baki thartee yee raahein meri hai
pyaar ke kuch pehlu aise hai dekhe
kuch humaari wafa ki chaav se thi
baki meri bewafai teri hai
baki tere gunaah mere hai
-Tushar
No comments:
Post a Comment