Tuesday, June 17, 2008

you sleep to be alone

To be lone in crowd of faces known,
to smile with tears heart sinking down,
To gather the broken you,
To crave that you are wanted,
before you sleep to be alone... (forever)
-Tushar

Monday, June 09, 2008

kuch pal tere saath aur bita lo to soocho

kuch pal tere saath aur bita lo to soocho
kal beechedge, aaj yahi beetha lo to soocho

tere sirhane ki malmal se haansi payi hai
baandh hootoon ki daastan bana lo to soocho

tere saath waqt hawa sa chalta hai
udti fiza ko apna bana lo to soocho

garm saansein ab bhi hai darmiyaan
sard aahoon ke dayre bana lo to sooscho

kuch pal tere saath aur bita lo to soocho
kal beechedge, aaj yahi beetha lo to soocho
-Tushar

Friday, May 09, 2008

for my sister...

A bond that just makes you think
Can there be love just without desire
Eyes speak about care with every wink
All I know we will always be there
To clap for all our achievements
To get smile when your eyes drop
May be we move distant physical apart
But this heart will be together
This immaculate, eternal, undemanding
Giving, caring, and sharing;
Defines a relation ALL ABOVE ALL
A root of un-selfish LOVE
A fact that we are
BROTHER and SISTER…
-Tushar

Monday, May 05, 2008

rook lo is chaand ke safar ko...

rook lo is chaand ke safar ko
baandh ke simtee saansoo main
ek nagma bana lo in lamhoo ko
tham jaye raat tere aagosh main
-Tushar

main tum aur tanhayee ka saath...

main tum aur tanhayee ka saath
khamosh chandni sulgate zazbaat
surkh hooth yeh gulab si baat
madhosh hum aur phighalte yeh raat
-Tushar

Saturday, April 26, 2008

क्यों हुआ कब हुआ क्या ख़बर...

क्यों हुआ कब हुआ क्या ख़बर,
आखं खुली तू नहीं हम बेखबर,
सोचा उस ने कुछ भी नहीं मगर,
रह गए तनहा हुयी न सहर;

क्यों अचानक यह ख़बर आई,
गए तुम रह गया दिल दर्द तन्हाई,
एक खालीपन दूजा गम गहराई,
कैसे छूटे प्यार की परछाई;

तुम मुस्कुराते हो नयी जिन्दगीं में,
बैठे हम फिर भी झूटी आस में,
तोड़ गए सारे रिश्ते यूँ झटके में,
उलझे हम बिखरे वादों में;

एक फूल मेरे आगन का,
ले गया कोई सपना आखों का,
बैठी आखे हश्र दिल के चाहत का,
काला आकाश बिन तारओ का;
-तुषार

Wednesday, April 23, 2008

woh is baar chale gaye aise kahi...

woh is baar chale gaye aise kahi,
chotta peeche intezaar bhi nahin;
dil ko phir bhi yeh sabr hi sahi,
shayad mil jaye yuhi kabhie kahi;

din ka saath raat ka milna,
jaagti raat ab chaand ka jalna;
din khali hai aakh ka gahna,
moti se yaadoo ka bun-na;

bhara hai kamra beta samaan,
har deewar tasveero ka karvan;
haste chehre palkon ke darmiyaan,
soona ghar chala gaya dil ka mehmaan;

-Tushar

Shweta-Narayan wedding invitaion

Two lives and a story
Two names, a journey to glory
Two voices and a song
Two bodies, a lovely mate
Two destinies, a crowning fate
Two souls for the promise

By the blessing of the THOU, the time has come,
that we mark a bond of eternity
In the shower of glowing stars
With the blessing of ones and dear

Grace us with your presence as we,
Shweta and Narayan,
Start a new beginning of a life
Tying a knot for ageless time
-Tushar

First wish to Shweta-Narayan

Narayan ke kal-kal jal main,
khili jeevan moti sa Shweta;
bandhan atoot sapne anoop,
kehte dev, jag, phool har patta;

Narayan ghar aagan aayi main,
abhivadan chandni se karta;
man bhooje naye jeevan paheli,
apne saathi sang komal Shweta;

Meaning of
Narayan : abode of beings, flowing water of eternity
Shweta: White
-Tushar

Monday, December 17, 2007

…hai aaj

daayare kuch aise rukhsaat hue hai aaj
tum muskuraaye to jannat mile hai aaj

duniya ka dastoor kuch jaana hai aaj
mar ke khud zindagi jee rahe hai aaj

raang zamane ke dekhe hai aaj
ban ke aaina khade hai aaj

har sawal ke jawab dhoonde hai aaj
milke unse khud se mile hai aaj

khawab saare haqueqat se toote hai aaj
band aakh kar soone se darte hai aaj
-Tushar

B'day wish to Narayan : 17-12-2007

The wheel just turns to the point again,
over the period, I had some pain few gain;
standing on the day, of the very advent
to take more steps, to cherish what just went
its a journey each year of the wheel
living life as I want it to and feel
I have lot as a lot, my family and U my friend
and what I want more in prayer to send
Thank your GOD for a new turn
I will live as I am here, to love to learn

Happy B'day Narayan ...
-Tushar

4th Anniversary of 232

yaad hai mujhko who suhaani raat
when we flashed mobile saath-saath
captured some moments to remember
bana liya ek ristaa with all forever

wooh society ki lambi analysis
that dollar-rupee appreciation thesis
drawing room ka virtual cricket ground
kuch songs par roz subhah ek sound

Mall ke lagate chakar,kuch khaate, kuch chahte
Funny office gossips, kabhie sacha dukh sunate
Defining life in own its own fashion
Hum sab main badta ek passion

bhaiya ji ke mast chawal choley
life was moving just holay-holay
then came the period of recession
bidding valedictory was painful session

waqt ke chokhat se yaad ke saman le chaley
kuch naam kuch pehchaan bas chod chaley
are O mere dil ke bando, yaad hai ya nahin wooh makan
House se home banaya tha jisse, 232 aaj bhi hai uska naam
-Tushar

Sunday, October 28, 2007

sharm aa gayi...

sharm aa gayi yo unse milke
ghata chaa gayi, main unke sadke
ab kah denge unse haske
rahe sada woh mere banke

ab ke aaye to jaaane na denge
is raat ko dhalne na denge
kuch kahyege kabhie chup rahege
yuhi saath bethe rahege

mogre ki mahek hi to hai
dil pe kuch dastak di hai
dhadkan ke geet ab gaate hai
hum tumhe bas chahte hai

nazro ke yoon milne sa
jhuki palke laboo ke khilne se
hum to bas khoo gaye aise
hai! tum pe mar gaye aise

barf se dhake pahadoo se
jharne girte nazaroo se
pati-pati chinaroo se
baat ki teri hazaroo se

sharm aa gayi yo unse milke
ghata chaa gayi, main unke sadke
-Tushar

Bas...

khawab ki zindagi itni thi bas
aakh khulte hi haqueqat se toot gaye
woh na mil sake hum se kabhie
bandh aakhon main jo rahte the bas

waqt ud raha hai dhuaa sa bas
koi chingari kahi jalti nahin
zarra-zarra sulag rahe hai aarmaan
yeh kahani aab rukti nahin bas

rukte hai dard ki mahfil main bas
har gazal main woh samaye hai
har jaam ki madhoosi un se hai
hum unhe bhula na paaye bas

chaand kahta hai dastaan-e-noor bas
sunte hum bhi hazaroo main rhai
raat ji rahe hai jaag ke hum bhi
badal ban saath chal na paaye bas

phool pe oos ki boondh thi bas
thari ruki phisal gayi
ashaq bhi phisalte hai gaaloo pe
thahrte to mere hote bas

rista apna ek shaam tha bas
aayi shaam ruki, raat hui
samjhe kaun samjaaye kyon
duniya phir bhi haas degi bas
-Tushar

Sunday, October 21, 2007

Ek hai chaand…

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar

Din ke gusail dada se
Pyare chanda mama sa
Asmaan main sajta
Albhabet ‘C’ jaisa /* Thanks to Adee for this line */
Leader hai sitaaroo ka
Meeri katori ke batashe sa
Raat ke carom ke
Chamkte striker sa
Maa ke loori ka hero
Kabhie poore ka poora zero
Naani ki di chaavni sa
Pansaari se li taafi sa

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar

Tasveer mere pyaar ki
Pedh se jhaakte noor sa
Baadal main sahma khoota
Sharmati dulhan sa
Pardesh main dilata desh ki yaad
Khamooshi main karta baat
Saathi mahkati tanhayi ka
Pyaara mere yaar sa
Here ka pehna kangan
Kan ki jhoomti baali sa
Raat se uth, us-Ke khaayal jaisa
Jaagta saath mere, Mere intezaar jaisa

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar

Bhaagti bheed main
Gaadi ke pahiye sa
Roz thakte paate us-se
Do waqt ke roti sa
Gharaate andhere main
Jalte bulb jaisa
biscuit ka toota tukra
bhookh phir bhi badata sa
Hazaaroo main ladta
Mere ek naam jaisa
Zindagi ki aankh-michooli mian
Hamesha ghaatta bhadta sa
Meri thakaan se taar
Raat main gawah jaisa
Har pal chalta badhta
Meri kahani jaisa

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar
-Tushar

… duniya aise hoti hai…

Aakh se chal laboo tak jo pahoochi hai
khamoshi nahin, dard ki zubaa aise hoti hai

raaste jo bhikhre lambe tanha se hai
mera kasoor nahin, duniya aise hoti hai

tasveer basi aakhon main yaad ki hai
intezaar tera, raat aanchal bheegooti hai

mile nahin par kuch judwa aise hai
naam mera, ruswaaiye teri hoti hai

lamhe bun bewajah waqt thaama hai
bandh muthi khulte hi khaali hoti hai

dard ki zard safed chadar oode hai
maut kya, zindagi aise hoti hai

saath tum ho roomani mausam hai
khawab hai, haqueqat kahan aise hoti hai

After I wrote above and shared with few friends, they asked me why so much pain and darkness.So I came for the light with the flip version of above.

Aakhon se chal Aakhon tak jo pahoochi hai
khamoshi sahi, jhuki palkeein bhi izhaar hoti hai

raaste badte hai, modh thahar jaate hai
milte hai dil, duniya meri hoti hai

teri tasveer basi aakhon main hai
har manzil tujse bayaan hoti hai

mile hai kuch aise judwa se hai
naam tera, kahani humaari hoti hai

lamhe bun moti se waqt thaama hai
milte hai aur yaad jawa hoti hai

aanchal khawaboo ka yoon lahraya hai
aise main zindagi muskaan hooti hai

tum nahin, dekho chaand bhi tanha hai
tum aaye, tanhaaiyaan rukhsat hoti hai
-Tushar

Saturday, September 22, 2007

kitne baatein kahni thi...

kitne baatein kahni thi
kitne raatein jaagi thi
tere intezaar main
tere aane ki rah main

woh chaand bhi chala gaya
raat safar ke baad bhi
dhoonda tumhe ujaloo main
shaam ke jalte chiraago main

kuch sapney tere saath ke
jeevan ki har raah ke
badte kadam teri aas main
jeete dua har saans main

dil kahi ab lagta nahin
tu nahin too kuch nahin
tanha khade hai bheed main
adhoore se door pyaar main

muskuraate hai pal sooche jab
hoga kya tum aayoge tab
paa lege tumhe har raang main
kooyi meera, shyam sang main

kitne baatein kahni thi
kitne raatein jaagi thi
tere intezaar main
tere aane ki rah main
-Tushar

Saturday, September 15, 2007

aakh se lafz bolo na...

aakh se lafz bolo na
dil ke sahme raaz kholo na

un khaamosh lamhoon ke saaye main
mere saath ke rang gholo na

lambi tanha in raahoon pe
khawab ki manzil dhondho na

jo kahani tooti baithe hai
tukre wafa se joodo na

sitaare jahan main bahoot hai
unme apna chaand dekho na

raat ke gujraate andheroon main
kal ke sapnoo ki tasveer dekho na

woh jo darta hai tanhaiyoon se
khud ko khuda se mila ke dekho na

haafte bhaagte thakte duniya se
maa ke aanchal main soo-lo na

kaun aapna kaun paraya jahan main
pyaar baatate yeh socho na

aakh se lafz bolo na
dil ke sahme raaz kholo na
-Tushar

Friday, September 14, 2007

When they think that I hate...

When they think that I hate
What to say about my fate

When days here were dark
When stars in night lost spark
What all I did was to wait
Whining for long lost bait
When soaked tears in eyes
While a smile for byes
When I just lived hoping
While all was gone moping
When words just became flawed
When I was crowned a fraud

When they think that I hate
What to say about my fate
-Tushar

The night and me...

A walk on long road dark lying wide,
Steps moving slowly with silence inside;
Seeing the far light as dream to attain,
Together night & me determined to sustain;
-Tushar