Tuesday, October 31, 2006

... chaand

roomani khayaaloo se chat pe sharma raha hai chand
tumhari haya ko chandni se barsa raha hai chand
mahkta ehsaaas hawa main rajnigandha ka hai ya
mere khaayal se tumhare labbo ko surkh bana raha hai chand

laharata hai aanchal yaa sitaroo se khawab bun raha hai chaand
chaa rahi hai ghaata yaa tumhari zulfoo main chup raha hai chaand
jhankati hai har aahaat pe patto ki kilkaari hi bas ya
tere paayal se haal-e-dil suna raha hai chaand
-Tushar

bas yu hi

roomaani khayaaloo se chat pe chand sharma raha hai
nazar ka dookha hai , yaa tumhari haya chandni se barsa raha hai
mahkta ehsaaas hawa main rajnigandha ka hi to hai ya mere khayaal ka
kaaptee laboo ko jo ghulab sa surkh bana raha hai
-Tushar

Monday, October 30, 2006

rohit's sms response : 27th Oct 2006

bayaan nahin kar sakte bekhaayali ka aalam
bas kahte hai
"mahak" us gulaboo ki ehsaaas aapka hai
-tushar

dua ibadat tab karte jab koi tammanna adhoori hoti
ab mannat kya maage jab fiza hi "mahakti" sirf "mahak" se hai
-tushar

roomani hoona

Bahar mausam ko nazar uttha kar to dekho
sard hawaoo se dhadkanee bada ke to dekho
roomani tum bhi hoo jaayooge
palkee baand kar humme yaad karke to dekho

Thursday, October 19, 2006

happy "DIWALI and EID"

Roshan hai gaaliyaan deepoo ki ladi se
mahkti hai rasoi sewai ke mahak se
waqt phir se bachpan main ab latuega
meethai, pathake or eide ke saath ab khelega
-Tushar

Subh Deepawali

Roshan hai gaaliyaan deepoo ki ladi se
mahkti hai rasoi ghee ke mahak se
waqt phir se bachpan main ab latuega
meethai, pathake or kandeel ke saath ab khelega

zindagi main phir nayi aasha ki kiran aayege
Khusi ki devi andhkar ke datya phir harayege

Jeevan bas ab rooshan hoga
ummedo ki loo ka bas ab saath hoga

As the season of festivity is on its roll ,
Wishing U and Ur Family "Subh Deepawali"
-Tushar

Kuch...nahin

Kuch daayre baad jaate hai jab kuch kadam baadte nahin
Kuch riste choot jaate hai jab kuch sabdh ubharte nahin
zindagi chaalte hai pal-pal ko jinne se ,par
Kuch lamhe thahar jaate hai jab kuch chehre aankh se bahte nahin
-Tushar

Friday, October 13, 2006

kuch ...

kuch dyaare bad jaate hai jab kuch kadam badte nahin
kuch riste choot jaate hai jab kuch sabdh ubharte nahin
-Tushar

Tuesday, October 10, 2006

phoolo se milna...

gamgeen dil ki dhoon bhi madhoosh kar sakti hai
bas saaj badal naye sur bandhne hai tumko
aashk ki boond bhi badal sakti hai oos main
namkeen tasoovar chood sirf phoolo se milana hai unko
-Tushar

waqt badal gaya hai ...

Kuch jazbatoon ka khicaav tha
jisne us darwaaze par dastak dee thi

kiwaad khuuli, chehre muskuraaye bhi
par us chamak main jhijhak dhihklaaye bhi
aasan par aaraam se humare baithne se
hulchul aakhoon main khai khilkhilaye bhi

gazab ka tha woh saama jab
varsoo baad aapne doost ke saamne tha aaznabi tab

shaayad main hi saaloo ke aantraal laangh na paya tha
kahi yaadoo main jeeta, aaj ke pal main sama na paya tha

paaloo main hee pehchaani awaaz bhatkne lagi thi
kahi anjaane shahar main jaise ghootne lagi thi

tabhi aaj jaag utha, chahak utha
chai-naaste ke baad darwaaza niharne laga

ussne jheepthe se kaha
"zindagi kaise bhaagne lage hai, waqt ki kaami se jaise haarne lagi hai .
buraa na maano yaar, par ek 'party' main jaana hai,
kaam silsile mian 'socialize' karne hai "

samajh gaye the bhaagne ka matlab
nigaahoon se darwaze takne ka matlab

woh chookhat jisse aana hi yaad tha bas
dooara hi koi pahloo dikha rahi thi
bahaar dikhtee sooni gali meri zindagi thi bas
"aapni" is chookhat laangh kar kahi chaali ja rahi thi
-Tushar

Friday, October 06, 2006

change ...

Un laboo ka thathadana aaj bhi dil main toofaan thaamta hai,
pyaar ke na, par shikvoo ke charche humare naam se bunta hai,
mausam badalte hai shakhoo ke roop bhi
saawan ke baad machal, pattoo ke raang bhi ujadhtaa hai
-Tushar

Tuesday, October 03, 2006

Sometimes ...

Sometimes I quiz I wonder how it feel like to ...... step on rainbow side
Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... dance in moonlit night
Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... fly in bluest sky
Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... sing with morning flight

But with you holding me,
so sure I am
the dreams are real
You standing beside,
I am bliss
I am Life

Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... coloring with sun rising
Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... wetting in spring rain
Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... smiling with cherry blossom
Sometimes I quiz I wonder how it feel like to... shedding with autumn green

But with You moving around
I am on joyous ride
want to sing, dance, laugh,
all You by my side

You make me feel What I am
How can I love
How can I smile
making me stop wondering
just, cherishing what all is in sight
You make me LIVE
You make me feel what is LIFE...
-Tushar

Wednesday, September 20, 2006

From Aman's blog

This is one piece that I wrote exemtpore in Aman's blog.Just felt like having in my collection .

jab tak hai chaand aasmaan main,
jab talak hai chaandni raatein,
aap muskuraage humare jahan main,
roboro na sahi par yaadoon main karge aap ki baatein
-Tushar

Friend ...

Kuch dena tha us saaye ko
raat main bhi jo ubhartaa hai mere saath
meri hi parchaiyoon ke khoone par
muskurata hai jo mere saath

naam de sakta hoon aapna usse
pratibimb (shadow) mera hi to hai woh
mere in nainoo pe paltee
sapnoo ka sutradhaar hi to hai woh

par naam na doonga aapna,
ki pehchaan uski mujhse nahi, meri usse hai
jeevan paath main sahayaak, disha nirdeshak mera wahi to hai

par kuch kehna too hai usse
pehchaan ek denne to hai usse
kya par hai sawal khada ?
jisse aaj ,
soocha bahoot, samjha bahoot
toola bahoot, jaana bahoot

uderhbun main sooch raha tha tab
mil gaya jawab usse-se aaj mujhe
muskuraa kar bheed main pukara jab
"DOST" kahkar ussne aaj mujhe
-Tushar

Monday, September 11, 2006

Gulzar : again

kuch saaaye kuch parchaiyaan
kuch chahat ke sajde
kuch badaloo pe rakhi ummeedein
barastee rahi tarastee rahee
chaand aasmaan main jaade suraakh ki tarah jhaakta raha
aur raat aandhe kuan ki taraf mooh khoole haaftee rahi

raaste paav tale se sarakte rahe
na ruke na thame
na rooka na poocha
zindagi kis talash main hai

zindagi jaise thakne lagi hai
aur yeh zindagi ka judwaa uski ungali thaame sahar ki nagi sadkoo par
abhi tak
kuch doondh raha hai
kuch bin raha hai
-Gulzar

Umrao jaan: revisited

to mujhe chahe na chahe yeh tere bas main to hain
main tujhe na chaho yeh mere bas main nahin
-Umraoo Jaan

Thursday, September 07, 2006

nazuki

nazuki unke labbo ki kya kahiye
phakhuddi ek gulaab ki se ...
-Umraoo Jaan

a communication

I never thought this will go so long.staeted with anshul, this communication will have inputs from me and chakresh and unbelievablly from arun too.
So I am framing every phase of it.

1)Anshul gave me a frame of his

aarzoo hai ki saja le apna ashiyhaan
mukammal karle apna har armaan
dhoonda aur chaha to bahut usko
par chota pad raha hai ye jahan
banane ke liye wo ashiyhaan


2)I responded in my way

Khawaaishyoon ki koi seema nahin
vistaar hai aasmaan se bada unka
zarorat nahin jahan ki aashiyaan ke liye
muskuraana baas kaafi hai unka Tushar

3) Chakresh wrote in response , when asked by ND

Karte hue intzar tumhara ho gayee hian sham
Yeh kaala asman kahin kala hi na raha jaye
Na aye tum to kabhi na hoga savera…
Reh jayega aise hi meri jindagi main andhera…


4) I wrote to revive him

Bemaani na samjhoo intezaar ke paaloo ko
Ehsaas unka dil ke kareeb ,un paloo se bhi hai
baithye kyon ho maayush saavere ki chah main
shamaa ki loo bhi chehra jab dekha jaate hai
-Tushar

I also made a new version of the above couplet, just for the sake of it

Bemaani na samjhoo intezaar ke paaloo ko
Ehsaas unka dil ke kareeb ,un paloo se bhi hai
baithye kyon ho maayush saavere ki chah main
shamaa main jalte parwanoo sa sabab jab tumhara bhi hai
-Tushar

5)Chakresh was not ready to give his saturine mood and went further

Jab sham ka husn ud jata hian..
Din bhi kali raat lagne lagta hain..
Unka intjar us sham tak hain..
Jo kabhi takarayegi nahin…
Pata hain who nahin ayenge
Par unke intjar main hum palken to bicchayenge
Sath the jab who to wahi sham sundar thee..
Aaj who syah rang se rangi hui…
Darati hui..satati hui..
woh sham kab ayegi..jab sath hoga unko..
woh sham ka husn fir haseen hoga..
na kabhi khatm ho who sham aa jaye..
par filhaal to bas intjar hain us shaam ka…


6) Arun , I guess bored or frustrated with these long mails, said this

Kyion hawa dete ho buji hui aag ko
Kahi koi chingari aag na laga de es jahan ko !


7) But I was in synch with chakresh and wrote this, a bit not poetic , but just wanted to frame something , did it in office so a less ryhming but was expressing me

tanha shaam nahin
channd sitare badal hai sambahale usne apne acchaal main

tanha din nahin
paatte (leaves) panchi fiza hai pale usne aapni baahoo main

to us raat-din ke saath tanha main kaise ho sakta hoon
saathi saangi pyaare jab hai mile in rahoon main
kuch mile , kuch chote ,
kuch ruke , kuch bade
par yaadyoon ki mithi misri bani hai aafsanoo main

In sab ke saath agar akela darta hoon
apne ko agar doosh deta hoon
to sahi main main kahin soo raha hoon
kuch paane ki dhoon main sab khoo raha hoon

jagna to hoga
badna to hoga

sunane kuch beete lamhe aapne ko hoge
un mitthi yaadyoon se gham dhoone to hoge

jadtha ki barf aaj todke
kaantoo ki chuban choodke
sapney kuch aur paalte hai
lahraate fiza main gaate hai

pyaar hi bas batana aasaan duniya main hai
wapas usse pane main kahin woh hi ghata hai

sirf karna chotta ek kaam hai
kissi baache ko bas hasana hai

zindagi phir maasoom ho jayege
kilkari baahoon main kai goonj jayege

to bas chalo chalte hai
haste hai aur haasate hai
humsafar bahoot hai
chalo sabko aapne khayaal sunate hai
-Tushar

Wednesday, September 06, 2006

aapka hai ...

palkoon main muskuata khayaal aapka hai
aakhoon main basaa khawaab aapka hai
pal koi beetata nahin ek naam ke bina
us naam main tasoovaar aapka hai

hawaoon main lahraata aanchal aapka hai
raang gulaab main bhaara aapka hai
chalti nahin zindagi dhadkan ke bina
wo dhadkan sunata dil aapka hai

haathoon main ubhaarta saaya aapka hai
karta madhoosh sangeet aapka hai
saanseein simatate nahin fiza ke bina
un fizayoon main mahkata ehsaaas aapka hai

maay main bhikara shabab aapka hai
rijhaata bhavroon ko raas aapka hai
chaand khilta nahin chandni ke bina
us chandni se dhalta noor aapka hai

meri maauzoo ka saahil aapka hai
meri ashiqui ka saabab aapka hai
thahaar jaate hai raaste humsafar ke bina
us humsafar saa saath aapka hai
-Tushar

Wednesday, August 30, 2006

Umrao Jaan

Ab tum saamne hoon to kuch bhi nahin hai yaad,
warna aapse humko kuch kehna jaroor tha
-Umrao jaan

Na jiski shakal hai koi
Na jiska naam hai koi
Ek hai shah ka kyon humme hade dil se intezaar hai
-Umrao jaan