Wednesday, August 30, 2006

Umrao Jaan

Ab tum saamne hoon to kuch bhi nahin hai yaad,
warna aapse humko kuch kehna jaroor tha
-Umrao jaan

Na jiski shakal hai koi
Na jiska naam hai koi
Ek hai shah ka kyon humme hade dil se intezaar hai
-Umrao jaan

bekhaayaali

haaya un jhukti paalkoon ki hi to hai
chandni raat main jo dhadkan suna gaye
lehar un ghaanere julfoo ki hi to hai
laafzoo ko humare jo sargam bana gaye

pal intezaar ke saambhaalne hi lage the jab
jhalak ek phir naye muskuruhaat jaga gaye
deedar karte hai chaand ka din main bhi aab
mulaakaat woh bekhuudi itne bada gaye

-Tushar

Tuesday, August 29, 2006

ajanabii kaun ho tum: Song by Nida Fazli

ajanabii kaun ho tum, jabase tumhe.n dekhaa hai
saarii duniyaa merii aa.Nkho.n me.n simaT aaii hai...

tum to har giit me.n shaamil the, tarannum kii tarah
tum mile ho mujhe phuulo.n kaa tabassum banake
aisaa lagataa hai ke baraso.n se, shamaa aaj aaii hai
ajanabii kaun ho tum...

Kvaab kaa ra.Ng haqiiqat me.n nazar aayaa hai
dil me.n dha.Dakan kii tarah koii utar aayaa hai
aaj har saa.Ns me.n shahanaaiyo.n sii laharaaii hai
ajanabii kaun ho tum...

koii aahaT sii, a.ndhero.n me.n chamak jaatii hai
raat aatii hai, to tanahaaii mahak jaatii hai
tum mile ho yaa mohabbat ne Gazal gaaii hai
ajanabii kaun ho tum...

-Nida FAzli
JUst loved these lines !

Monday, August 28, 2006

jyada hai ...

tere jaane ka darr sab khoone se jyada hai
tujhe bhoolne ka gham teri yaad se jyada hai
kuch to bete pal hi bas sambhaalte rehte hai
nahin to yoon tanha jene ka ehsaas maut se jyada hai

-Tushar

bhikra gayi hai

bhoolne ki jid unhe aur pass le aaye hai
hansne ki jid aakhon main nami barsa gayi hai
bheed main aaj bhi tanha hi to khaade hai
sab sambhaalne ki jid humhe hi bhikra gayi hai

-Tushar + chakresh
(here I just reframed a couplet by chakresh.The thoughts were his only , I just re- wrote them as I liked them to be)
Here I am also pasting the original one by Chakresh

unke bhoolne ki jitni koshish kee woh utna pass aa gaye
khud ko jinttna khush rakhne kee koshish kee palkon par ansoon utne aa gaye
bheed main rehne ki jitni koshish kee utne tanhan ho gaye...
jitna khud ko sambhalne kee koshish kee utne jyada bikhar.. gaye

Thursday, August 24, 2006

bhoole the ...

dard unhe de kar soocha marhaam aapna saaza lenge
bhoole the un palkoon se dhaltha saagar apna hi hai

jaala kar unhe soocha saawan main naha lenge
bhoole the baadal main khoota saaya apna hi hai

mazhdhaar main chod unhe soocha naiyaa aapne baacha lenge
bhoole the laahroon se bhigtha saahil apna hi hai

kaante de unhe soocha phool hi bas bichha lenge
bhoole the labbo pe banzar haansi apne hi hai

bheed main tanha kar unhe soocha karvaan apna bana lenge
bhoole the andhakaar main darta dil apna hi hai

Bhoola kar unhe soocha tha yaadein apni sawaar lenge
bhoole the wahan sooti zindagi apni hi hai
-Tushar

Thursday, August 17, 2006

Don't wait

Mohabat hai to izhaar to karo
zazbaatoein ko dil main yuon kaid na karo
kya pata izhare-i-dil sunene ko woh bhi tareste hoon
tumhari yaad mein woh bhi raataoon ko karwateein hi badaltein hoo
-Tushar

darr

karwaatein badaltein-2 kati hai raatein
sapoonoo ke toote jaane se darte hai aakhein
tumhe paya na sahi , par tumhe khoone ke daar se
izhaar karne se darti hai aakhein.....
-Tushar

Monday, August 14, 2006

tanha nahin ...

Tanha jee lete agar tanha hote,
yahan tanhaayioon main bhi tanha nahin !
In tanhaayioon se tanha hona chate hain,
par yeh tanhayi tanha chodti hi nahin !!!
-Tushar

Thursday, August 10, 2006

jal raha hoon main ...

badal tanhayioo ke chayee hai aise
aansoo bhi aaj saath chood rahe hoon jaise
aapni hi ikchaayoon ki chitaa main jaal raha hoon aise
maratuyaasayaa ke shool par jhool raha hoon jaise

aandhkaar ke gaarth main koo raha hoon main
marusthaal main aashayein dhoo raha hoon main
shukhi banzar dharti saa phaat raha hoon main
soonyaa (zero) saa aakhoon main baas hoon main

door akela dastee ees ekaanth main hoon
daarta phir bhi aapni parchayioon se hoon
khaada raakh aapnepan ki tapish pe hoon
jalta phir bhi sneh ki boondoon se hoon

saab paane ki ikchaa (desire) jaise khoo rahi hai
aage jivan nahin jadhtha aakheen khool rahi hai
gaaye geet ki dhoon maano aab bajtee nahin hai
laboo par tooti kaahani bhi aab sajti nahin hai

saaraansh kuch paane ka jaise likhna tha
saapnoo koo jeevanth hi to baas karna tha
par aapne aasoonyoon ki baadh main baah raha hoon main
sapne ke toote kaanchoon par hamesha ke liye aaj soo raha hoon main

Tuesday, August 08, 2006

Otaru Trip feel...

Yuhi chalet-chalte zindagi ki rahoon main,
Khoo gaye the hum apni hi pareshaniyoon main,
Par waqt ke is mod par khade hue,
Aaj jaana zindagi main yeh raang bhi ha bhare hue,
Paaya bahoot kuch,kuch khoya bhi, zindagi ki lahroon main,

Samay ka yeh lamhaat shayyad zannat hai ,
Bas gaya jo humari roho main.

Saagar ka vistaar
Barf ki sard masoomiyaat ,
Hain ek lambi chandni raat ki tarah
Jo roomani hai , pyaari hai , apni hai

In pallo ko hum bhoola to na payege,
Kyonki ye sab to hai bas humare liye
Tushar

Ek safar ...

woh door suraj dhal raha tha,
woh paas shama bhuj rahi thi,
woh sooch thi yaa haquekat
jo meri aakhoon se bah rahi thi .

mitti ke saqt farsh par lete hue , chandni ka intezaar hai ,
us door se aati bachoon ki sharaat bhari awaaz se bachpaan ka ehsaas hai .

aaj apni dhooti ke raang pe ,
jeevan ke saare saaye samete hai ,
yeh kuch tansveeryain hai ,
kuch pal ....ek humsafar se hai

baaithe hai mere saath meri tanhaiyoon main ,
jo carvaan banate hai chale mere is safar main (woh pal)

Tushar

Waqt ...Intezaar ...Ehsaas

kya jagah hai yeh zindagi jahan tabussum si khilli hai ,
barf se dhake parvatoon se ek purwaayi si chali hai.

Is sard mausam main dil khamoshi se kuch kah raha hai,
In haasiyein waadiyoon main jo afsanoon sa bah raha hai.

waqt yeh shayad ek saathi ke saath hone ka hai,
unke ghaaneri zulfoon main khood ko khoone ka hai.

Sukhe pattoo pe chalne ki sarsharahat unki aahat ban-ne ko hai,
kuch pal intezaar aur phir zindagi unki aagoosh main soone ko hai.

-Tushar

excerpt

Kaun hai jo ek saaye ki tarah mere dil ko chotta hua chala jata hai,
kabhi paas se kabhie door se.
Ek awaaz ek geet bankar mere rag-2 main uttar jata hia,
kabhi paas se kabhie door se.

kaun hai jo mujhe meri tanhaayioon ka ehsaas dila jata hai,
ek khaalipan ,soonapan chod jata hai.

Kaun hai jo mere paas reh kar bhi mujse door hai.

main usse janna chati hoon,dekhna chati hoon,
ungalioon se unke chere ko chona chati hoon,

Kadmaon ki ahaat sunti hoon, palati hoon,
usse dekht hoon , khud ko bhool jaat hoon,
tasveer ban jaati hoon ,Khod ko bhool jaat hoon.
Bekhud hoon jaati hoon ...
(from movie Bazaar)

Yaad

gujre waqt ke woh lamhaat, jinhe hum yaad kahte hai
tasveer unki hai jooo humare dil ke paas rehte hai
kabhi kassak kabhie hook se baan saamne se gujrete hai
beete pal phir phi bakhsoo main sajoye rakhe hai
zinadagi sawaari hai enhe se humari,yeh joo saaaman bachaye rakhe rai

-Tushar

ehsaas hai mujhe

Tooti chookhat par uss apni hi dastak se
mausam gujrne ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
Is makaan ke har koone main khelte har saaye se
bachpan ke jaane ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
mandir main rakhi rudraksh ki sithir(motionless) mala se
khatam hui daadi ki khaniyoon ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
purani raadi ki dhool (dust) se jhakate neele dhabboo se
apni hi tasveeroo ke khoone ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
barghad ke sukhe tooth se uterti beloo se
sawan ke beet jaane ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
banjaar se khaat (cot) par letne se
maa ke aachal ke saaye ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
vaarshoo baad in parchaiyoon ke ubharnee se
dhalti dhoop ka shayad ehsaaas hai mujhe ...
tahlte hue in sooni galiyoon se
apnepan ki baarish ka shayad ehsaaas hai mujhe ...

In bemaani kaagazoo par dasthakhat (signature ) jaadne se
aapne hi sharir ke kissi aang ke katne ke dard yakeenan aaj hai mujhe ...

-Tushar

on ND's UK valedictory ....

the way I see this event ...

sapna suhana ek aakhoon main samaya tha
roz unchee gagan main dosroo ke saaath joo udd jata tha
kabhi too hum bhi chooyege enn un uchaiyoon ko
yeh vishwaas maan main samaya tha
poora woh armaan aaj hoon jayega
jiwan ke safar main ek naya ashayaya jud jayega
chootege kuch saathi par dil yeh kuch anubhav naye payega
afsaanoo ko haqueekat bante bas suna tha
aaj woh manjar bhi aakhoon main sama jayega
suno ey door desh ke wasi
sunhari dharti ka rajkumar tumhe apna banane aayega .
-Tushar , 22/07/2006

unfulfilled-Desires

Hawa main lahrateein saaye si,
zindagi oojhaal hoon gaye
bahte aasoon se likhi kahani
saare dhool gaye
dhoop main udee oos ( dew) ki boondh se,
laboo se hansi khoo gaye
hoon na sake en sakheeyoon (friends) ke sapnay poore
palke yeh pahle hi soo gaye.
-Tushar

Khawaaish

Waqt tum aur hum
saath agar kabhi tahar to paate...

safar ki rahoon ko,
phir hum badal to paate

sajoyete sapnay baarish ki boondoon main,
patjhad sawaan main badal to paate

harilaali chawav ke saye main lahraate,
kaante gulab ban to paate

chandni yoovan main hoote madhoosh,
taare saang muskuraa to paate

kaano main kheltee masoom hansi,
aansoo moti ban to paate

bhar dete rang sab chitroo main,
kirnoo ke jhoole jhool to paate

badtee karvaan ke hoote saang hum bhi,
paanchi man ke geet gunguna to paate

sindoori shaamoon main khaamooshi se kahte kuch,
lahroon se saahil bhigoon to paate


Waqt tum aur hum
saath agar kabhi tahar to paate...

-Tushar

Evening

Day abandons it
Night disowns it

a poet picks it up
threads it
into a poem;
but sometimes
it is barren,
so impotent
it gives nothing,
not even to the poet

-gulzar

Thanks Orkut for this creations ...

6th Aug 2006, I happen to meet some old buddies Kanika and gaurav dhama from my '97 batch .....so in continuation of the tryst effect here comes it

pooraani kitaaboo ki dhool jhadhte hue
sukhe gulaboo ne pooche mahkte hue

kya en cheroo ko jaante hoo ?
In aawaazoo koo pehchannte hoo ?

un dhoondhaali tasveroo ko poocha jab,
aakhoon main saaye kuch lahraayeen tab

ye naam kuch jaane-pehchaane se hai
tehre joo aab kahi afsaanoo se hai

in phooloon main abhi jhuriyaan nahin hai
bandhaanoo ki door abhi tooti to nahin hai

rishta ghahra abhi bhi un muskaanoo se hai
parchaiyoon main beete pal ghooye se hai

mulakaat ye sirf yaad bhi rahe too gaam naahi
aandhi phir dhool jaade to gham nahin naahi

pata hai phir un kitaboo ko jhadege
unme soote tasveroo ko paalege
mile hai jo muskil se yeh kirdaar ,
inhe ab umarbhaar yoo hi sawarege ...
-Tushar