Sunday, October 28, 2007

sharm aa gayi...

sharm aa gayi yo unse milke
ghata chaa gayi, main unke sadke
ab kah denge unse haske
rahe sada woh mere banke

ab ke aaye to jaaane na denge
is raat ko dhalne na denge
kuch kahyege kabhie chup rahege
yuhi saath bethe rahege

mogre ki mahek hi to hai
dil pe kuch dastak di hai
dhadkan ke geet ab gaate hai
hum tumhe bas chahte hai

nazro ke yoon milne sa
jhuki palke laboo ke khilne se
hum to bas khoo gaye aise
hai! tum pe mar gaye aise

barf se dhake pahadoo se
jharne girte nazaroo se
pati-pati chinaroo se
baat ki teri hazaroo se

sharm aa gayi yo unse milke
ghata chaa gayi, main unke sadke
-Tushar

Bas...

khawab ki zindagi itni thi bas
aakh khulte hi haqueqat se toot gaye
woh na mil sake hum se kabhie
bandh aakhon main jo rahte the bas

waqt ud raha hai dhuaa sa bas
koi chingari kahi jalti nahin
zarra-zarra sulag rahe hai aarmaan
yeh kahani aab rukti nahin bas

rukte hai dard ki mahfil main bas
har gazal main woh samaye hai
har jaam ki madhoosi un se hai
hum unhe bhula na paaye bas

chaand kahta hai dastaan-e-noor bas
sunte hum bhi hazaroo main rhai
raat ji rahe hai jaag ke hum bhi
badal ban saath chal na paaye bas

phool pe oos ki boondh thi bas
thari ruki phisal gayi
ashaq bhi phisalte hai gaaloo pe
thahrte to mere hote bas

rista apna ek shaam tha bas
aayi shaam ruki, raat hui
samjhe kaun samjaaye kyon
duniya phir bhi haas degi bas
-Tushar

Sunday, October 21, 2007

Ek hai chaand…

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar

Din ke gusail dada se
Pyare chanda mama sa
Asmaan main sajta
Albhabet ‘C’ jaisa /* Thanks to Adee for this line */
Leader hai sitaaroo ka
Meeri katori ke batashe sa
Raat ke carom ke
Chamkte striker sa
Maa ke loori ka hero
Kabhie poore ka poora zero
Naani ki di chaavni sa
Pansaari se li taafi sa

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar

Tasveer mere pyaar ki
Pedh se jhaakte noor sa
Baadal main sahma khoota
Sharmati dulhan sa
Pardesh main dilata desh ki yaad
Khamooshi main karta baat
Saathi mahkati tanhayi ka
Pyaara mere yaar sa
Here ka pehna kangan
Kan ki jhoomti baali sa
Raat se uth, us-Ke khaayal jaisa
Jaagta saath mere, Mere intezaar jaisa

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar

Bhaagti bheed main
Gaadi ke pahiye sa
Roz thakte paate us-se
Do waqt ke roti sa
Gharaate andhere main
Jalte bulb jaisa
biscuit ka toota tukra
bhookh phir bhi badata sa
Hazaaroo main ladta
Mere ek naam jaisa
Zindagi ki aankh-michooli mian
Hamesha ghaatta bhadta sa
Meri thakaan se taar
Raat main gawah jaisa
Har pal chalta badhta
Meri kahani jaisa

Ek hai chaand Chere hazaar
Ek hi naam Afsaane besumaar
-Tushar

… duniya aise hoti hai…

Aakh se chal laboo tak jo pahoochi hai
khamoshi nahin, dard ki zubaa aise hoti hai

raaste jo bhikhre lambe tanha se hai
mera kasoor nahin, duniya aise hoti hai

tasveer basi aakhon main yaad ki hai
intezaar tera, raat aanchal bheegooti hai

mile nahin par kuch judwa aise hai
naam mera, ruswaaiye teri hoti hai

lamhe bun bewajah waqt thaama hai
bandh muthi khulte hi khaali hoti hai

dard ki zard safed chadar oode hai
maut kya, zindagi aise hoti hai

saath tum ho roomani mausam hai
khawab hai, haqueqat kahan aise hoti hai

After I wrote above and shared with few friends, they asked me why so much pain and darkness.So I came for the light with the flip version of above.

Aakhon se chal Aakhon tak jo pahoochi hai
khamoshi sahi, jhuki palkeein bhi izhaar hoti hai

raaste badte hai, modh thahar jaate hai
milte hai dil, duniya meri hoti hai

teri tasveer basi aakhon main hai
har manzil tujse bayaan hoti hai

mile hai kuch aise judwa se hai
naam tera, kahani humaari hoti hai

lamhe bun moti se waqt thaama hai
milte hai aur yaad jawa hoti hai

aanchal khawaboo ka yoon lahraya hai
aise main zindagi muskaan hooti hai

tum nahin, dekho chaand bhi tanha hai
tum aaye, tanhaaiyaan rukhsat hoti hai
-Tushar