Monday, August 25, 2008

For Goku...

This for Goku (my junior nephew, born on 24th Aug 2008, On janamasthmi , day celebrated as birth of Lord Krishna. For reference in context for this, Adee is Goku's elder brother)
These lines are based on famous folk song from Rajasthan, kesariya balma padharoo mhare desh ...
My love for Adee and Goku ...
*************************************************************************************
Kesariya Kanha padharoo mhare desh …

Sundar kaya komal maan paayoo Adee sa bhesh
…padharoo mhare desh
Maiya aanokkee daoo Adee, ladaloo aisa yeh parivesh
…padharoo mhare desh
Choota Goku bhaiya Adee pyaroo yeh sandesh
…padharoo mhare desh
Sang khelenge sang jhoomege adee-goku, desh ya videsh
…padharoo mhare desh
Pyaari muskaan layo sang, bholo sab jagat dwesh
…padharoo mhare desh
Kesariya Kanha padharoo mhare desh …
*************************************************************************************
-Tushar

Thursday, August 14, 2008

vidaai...

Kuch dard hai tumhaare jaane se
Kuch haans rahe hai moti aakhon main
Dua ubharti hai har saans har pal se
Payo khusi zindagi ki har rah main
Waqt bahoot pyara bita hai tumse
Paya hai ek naya pariwar tum main


Kuch yaad ki tasveer saath le jate hoon
Ek pyaar ka bandhan baadhe jate hoon
Pal chootte hai kahke phir milta hoon
Arre oh ! yaar tumse kab bichadta hoon

-Tushar

khushi...?

dekhta hooon duniya main itne sadhu-saache hai log,
phir kyon aapne dard ko unki haansi main khoo nahin pata
kyon nahin khilta, kyon jaate nahin jalan ka yeh rog
har phool to khil raha hai bas ek indradhanush nahin bana pata
-Kabir