Saturday, September 20, 2008

...kuch yun hoti

Tum agar saath hote to baat kuch yun hoti
Jahan rangeen fiza bahar kuch yun hoti
(fiza : environment )

Dard-e-daman lahrayega to gazab hoga
Kabhi teri kabhie zamane ki inayat yun hoti

sham-e-zindagi ke sahil pe bas yun baitha hoga
Justuzu teri hijra-e-hiwda main kaid yun hoti
(Sham-e-zindagi : evening of life , sahil : shore ,Justuzu: desires , hijra-e-hiwda: heart with pain of separation )

Kabhie saath dostoon ka ronake mehfil hoga
Kabr par kuch duyaan saath bas yun hoti

Tum agar saath hote to baath kuch yun hoti
Jahan rangeen fiza bahar kuch yun hoti
-Tushar