Thursday, December 28, 2006

Kyon...

Jinse milne ki hi ek aarzoo se
zindagi ka har pal jiya hai
jinhe ek aapni manzil maan
aapne raastoon ka safar buna hai
kyon aaj unse mulakat
sirf ek aur lamhe se hai
kyon usse pa ke,dil khamosh sa hai
kahi kuch mahka nahin
sard mausam main hawa ka rukh bahka nahin
kyon aaj "hum" "main" nahin
kyon aaj woh beete waqt se thahre nahin
aarzoo woh poori to hui hai
saath hum tum hai, par tanha nahin
khade hai saat beete woh saare pal
jinse humne har saans se kuch kaha hai
jo en badte faasloo main
tumne kabhi suna nahin
daayre tay kuch aise hai kiye
ki humaare lafzoo main ab
aapni hi kahani nahin
-Tushar

Tuesday, December 26, 2006

khayaal...

1. Unka khayaal hi kya kam qatil tha
Rukhsaar se parda bhi jo dhalka diya

2. Woh kahte hai hum bekhaayal rehta hai
Koi unhe bataiye hum unhi ke khaayalo main khoye rahte hai

-Tushar

...raang...pehlu...

zindagi ke kuch rang aise hai dekhe
kuch gulaabi saath gujari shaam thi
baki teri ankahe din beete hai
baki meri ansuni raatein kati hai

chaand-suraj saath pehlu main kam hai dekhe
kuch mahke kohre ki woh chaadar hi thi
baki jaith main jalti dharti teri hai
baki tushar se pheghalti zameen meri hai

indradhanush ke saat chehre haanste hai dekhe
kuch oos ki kirnoo ke mel se thi
baki saawan ki baarish teri hai
baki pathjhad ke mausam mere hai

wahan door aasmaan-zammen milte hai dekhe
kuch unki mohabat ki tamanaa se thi
baki bhaagte woh raatse tere hai
baki thartee yee raahein meri hai

pyaar ke kuch pehlu aise hai dekhe
kuch humaari wafa ki chaav se thi
baki meri bewafai teri hai
baki tere gunaah mere hai
-Tushar

Thursday, December 21, 2006

...Kya

Pooch rahe hai mehfil main woh mohabat hai kya
humne tera naam liya aur hum phir kehte kya
Jaan rahe hai yoon aaina ibaadat hai kya
aapni rooh main paya tujhe aur hum isse batate kya

band aakhon se khuli palkoon tak ek chah hai kya
dedar-e-chehra bas warna yoon aashiq kahlate kya
har pal har ghadi har lamha har saans se kahte hai kya
intezaar main jeete hai tere yoon hi rooswa hum hoote kya

baatoon-baatoon main har baat ka bas roop hai kya
tere naam se shuru mere khayaloo se gujarata hai kya
saath hai chalte to raastoon ka raahi hai kya
chand lafz tere kuch haansi meri , mausam hai aur kya

sindoori sham main fiza yoon gungunati hai kya
sooch hai yaa tum sapne dharti par laye hoon kya

tum paas hoo itne saansoo ki agan jalati hai kya
UFF !! agar ye haqueqat hai to phir khawaab hai kya
-Tushar

Tuesday, December 19, 2006

Memoirs of GEISHA....

Wonderful lines from the movie "Memoirs of GEISHA"

The heart dies a slow death,
Shedding all hopes like leaves,
Until one day there are none,
No hopes
Nothing remains

She paints her face to hide her face
It is not for a Geisha to want
It is not for a Geisha to feel
Geisha is an artist of a flaunting world
She dances, she sings, she entertains you
What ever you want
And rest is secret
rest is SHADOWS...

A story like mine should never be told
For my world is as bitten as it is fragile
I certainly was not born to the life of a GEISHA
But as so much in my strange world
I was carried there by the current …


Remember Chiyo Geisha’s are not goddess
We are not wives
We sell our skill not our body
We create another secret world
Of beauty only
The very word Geisha means “artist”
And to be a Geisha is to be judged as moving work of art
….
Beatty and agony, for us, lives side by side
Your feet will suffer
Your fingers will bleed
Even sitting and sleeping will be pain

Friday, December 15, 2006

Ashkoo ke dastaan …

tere jaane se zindagi ka kinara kuch aise khooya hai
ashko ke saillab ne saahil humara doboya hai
bichoo ke us bebas agan ko bhujaana chahte hai
par dekho aakhoon ke moti chehra tera hi dikhate hai
-Tushar

Tuesday, December 12, 2006

on Chakresh's B'day ( 30th nov 2006)

Din aa rahe hai ,mahine jaa rahe hai
Saaloo ke saath yaadoon ke samaan bad rahe hai
seeshe main safedi muskura rahe hai
peeche palat kar dekho too
raahoon main aapno ke saath chune moti jagmaga rahe hai
yeh heere hi shayad jeevan ka saar hoonge
hum to bas raahe yoon hi rooshan karte chalenge
-Tushar

to be sent on Nd's Birthday ...17th Dec'2006

Birthdays are special days
as they are a chance always
for those who are so far so near
but for those U are so dear
a day to express the unspoken all
that too without verbose fall
just short like morning rise
but sparkling as lotus by ur side
may be months gone without call
but here are we all
with vermillion sun,
with flowers bun
together with singing birds
walking with verdant trees
along are moving clouds
making the misty clout
just to say we care for U
though apart are we
but we are so near
close the eyes , find me dear
So as we remember U
U live with our wishes
which we send
no words no flowers
but just our own
"Smiling tears"

Happy B'day
-Tushar

Monday, December 11, 2006

Rista ...

ek seekh dee hai kuch beete ristoo ne ,
ristoo ke baare main
saaloo lagte hai ek ristee ko uska roop dene main
aur woh hota hai barf jaisa
varshoo ki laagat mahnat se
roz thoos hoota hua
par jahan kuch rook gaya
naye parat thamne lagi
woh khaamoshi woh doori chingaari se ho jaate hai
saaloo ke riste ke putle ko
dino main pighala jaate hai
aur kabhi ahankaar hi chir deta hai
us aapne kaya ko
bas kuch bahte paloo main

par aaj bhi yeh raaz nahin khool pa raha hoon
ki samay se kiya woh thoos bandhan
kya paaloo ke saath nazuk hoon jata hai
woh kuch lamhoon ki aag se
aapne ko yoonhi bhasam kar pata hai
phir us jali raakh aur jaalate hai , kachotati hai
Kyon diya itna ise
jo bas itne se toot gaya
kyon hoota hai rista barf ke dheer sa
tharta kam aur
bas jaise phighalte ehsaas sa
-Tushar

On Rohit and Mahek's Engagement ...

mausam thahar gaya hai kuch gungunanne ke liye
ki fiza main ehsaas bhene bhene se mahek ka hai
surkh hai gulaab rohit se phale hue
ki rista ab naya ek ubhar raha hai
-Tushar

Kyon ???

Kya uljhaan kya kulffaat leke jeeta hoon
kyon majhi ko pakad moothi main bandhta hoon
kyon sapnay aane wale paloo ke palta hoon
ek kal tha ,ek kal hai;
phir bhi aaj ko unke beech peesta hoon
-Tushar

Friday, December 08, 2006

maayne ...

meri ghazloo ko mukambal kiya hai tumhare lafzoo ne
nahin to zindagi ke maayne to bas log yoon hi nikala karte the
-Tushar

Akele ...

Waqt ka ehsaan kaho yaa taqdeer ki saajish
jo chalte kaadmoo ki dhool se teri yaadoo ke samaan kuch aise dakh gaya hai
ab jab tere jaane ka dard bhi tapis nahi deta
dil ke koone ka woh khaalipan bina ehsaas ke ji raha hai
us kamre par taala daal diya hai
jiske chabi khoone ka gham bhi nahin
kuch yaadein jo tadap rahi hai wahan
unhe aazad bhi to nahin kar sakta
na unke saath mud gujre waqt ko pa sakta hoon,
jee sakta hoon
kuch nahi koi nahin
koi bandhan koi nata nahin
phir bhi woh jagah bhaari hui to hai
us chookat ke andar kuch mera sa
jee raha hai mar raha hai , yeh bhi to pata nahin
par haan teri yaadoon ko
aapne se zamane se
kuch es tarah chipa diya hai
ki ab unme palte aapne chehre bhi anjaane hoon gaye hai
soocha na tha es doori se
mera roop kuch es tarah badal jayega
aapne saaye ke daman koo yoon jhatak
naya mokhota pahan main phir
haan ek baar phir
baas chal doonga
eese hi bas eese hi
ek aanant safar par
akele
bina tere bina aapne
bas akele
kuch yaad paaleta hue
kuch aur taale dalte hue
bas chal doonga
bas yoon hi
bas akele !!