Friday, November 17, 2006

sometimes...silence...

hum bayaan jo lafzoo se kar na sake
dastaan woh khaamoshi se likh gaye


sometimes I want to say so much
but ...their silence takes control
-Tushar

Monday, November 13, 2006

...???...

lafzoo se shikvoo ka tana bunte nahin ab
ki gila un cheroo se kya kare jin ke saath haansi ke woh pal bhi biatye hai
-Tushar

hum apne ghar main ajnabi hoonge

tere jaane pe soocha nahin tha
hum apne ghar main ajnabi hoonge,
jahan jo tujh par lutana tha
us ko bas yoon lutate hoonge

...hum apne ghar main ajnabi hoonge

guftgoo saath buni thi kabhi
humari ghazal ki woh juztuzoo hoonge

...hum apne ghar main ajnabi hoonge

waqt jo gujare the milkar
woh pal humari saanse hoonge

...hum apne ghar main ajnabi hoonge

teri peeshani par sahmi boonde
aakhoon ka humari bas noor hoonge

...hum apne ghar main ajnabi hoonge

nishaan choode peeche jo saare
woh raastee yoon zindagi hoonge

...hum apne ghar main ajnabi hoonge

aashiyaan banaya tha jo humne
teri yaadoo ke woh ghar hoonge

...hum apne ghar main ajnabi hoonge

saapne paale the aankhoon main
taaroo je jahan main bas poore hoonge

tere jaane pe soocha nahin tha
hum apne ghar main ajnabi hoonge

Thursday, November 09, 2006

Intezar...

Intezaar main jiske humne raatein gini hai
woh aaj humare tasoovar ko dost kehte hai
-Tushar

Life with you

The days are warm
The nights so calm
With you life has its own charm
so much mine ,so like orchid farm
-Tushar

desire...facet

The days were dark
The nights so long
My desire had this facet
for what ,for years I long
-Tushar

chubhan ...

sapne gulaab ke kabhi saath dekhe the in aakhoon ne
unke kaantoo ki chubhan kyon humari palak hi bas bhigotee hai
-Tushar

Wednesday, November 08, 2006

...kyon hai

woh kahte hai ki mohabbat nahin
phir palak jhuka sharmate kyon hai
jab hum desh main nahin
phir sapnoo main roz bulate kyon hai
-Tushar

Tuesday, November 07, 2006

From Chakresh

Dil mian chhipe the jo chehere
Unko apne patal par ukerte hua chand
Sard raat main unke yadon se
Garmi se hahakar machata hua chand
Pighla deeya jisne dil par rakhe ke patthar ko jisne
Un ons kee boodon ko tejab sa banata hua chand
Dil ka khoon nikal deeya jin yadon ne
Us lal rang se chandani ko bhegota hua chand…

*********************************************
Sath jo hota tera to duniya se larh sakta tha
Tu sath nahin to khud se bhi darta hoon..
*********************************************

Dil main chhipa tha jo dard
woh aaj muskarahat bankar khil raha hian
Dil mian tha jo tufan
who aaj sannata bankar bol raha hain
Dil main tjha jo sagar
woh aaj ashq bankar bikhar raha hain
Dil main thee jo awaj
Woh aaj sahyari bankar nikal rahi hian
*********************************************

Ab to yeh bhia nahin keh sakta
Teri yaad main palken bhegota hoon
Asqon ke sagar sookh gaye hain
Tere becchoh ke gam se
Ab to yeh bhi nahin keh sakta
Tere bina jee nahin sakta hoon
Tune kasam jo dee hain
Tamam umra jeene kee
Ab to yeh bhi nahin keh sakta
Darde judayee se rota rehta hoon
Daal lee hain adat
Dard main muskarane kee…
*********************************************
-Chakresh

mausam ...

jab bete kadmoo ko dekha tha
zindagi ki tasveer ko badla paya hai
kal jo tere saath ka sawaan tha
aaj woh teri yaad ka mausam le aaya hai
-Tushar

Monday, November 06, 2006

sapnay ?

sapnoo ka bhi kya koi masal astitva hota hai
woh to bas khyaal, khwaish aur ehsaas ka bandhan hai

Do dreams have a physical existence ?
they are just bond of thoughts, desires and feelings
-Tushar

Kuch khaayal ...

Dil ke dard ki hoothoon tak laate to jal jaate woh
bas tabhi is tapis ko dil main baandh liya hai

Daastan jab suni ooroo ki bebas
dard aapna bas phir ek zarra sa laga hai

chehra kahie jo muskurahaat ka sabab tha
kyon aaj woh haasi ka roop badal gaya hai

phool-daali sa bandhan hi to bas chaha tha
dekho par taqdeer ne raat-din sa bana diya hai

daayre dard ke kar gaye hai kuch is tarah tanha
ehsaas bhi maano saath ab chod gaya hai

kaise baayan kare us nazar ke churane ko
woh nazar jo kabhi dil churatee the

chahat-e-deedar kuch tadapne eese laga hai
khawab main bhi chehra ab dil ko behlata nahin

daastan aapni chaahtoo ki kuch is kadar hoti hai bayan
chah din main chaand ki thi, par raat woh aamavas ki nikli

Jaise milte hai teri yaad har mod pe..
Kash un rahon tum hamsafar bhi hote

chalee the jab saare raaste tere ghar tak pahuchte the
doosh kise de jab tumne bataye bina hi aasiyaan badal liya

kash zindagi ek kavi ki sooch ki tarah hoti,bas muskuraate
aur pal main apne saathi ke pehloo main pahuch jaati

Friday, November 03, 2006

... kabhie

zindagi mukkarrar hai un paalo se
woh lamhe jo saath bunne the kabhie
mahkate hai gulaab aaj bhi kitaaboo se
woh paanne jo saath likhe the kabhi
muskurate hai baag pholloo se
woh gulmohar saath khilaye the kabhie
doohraana chahte hai un sabdoo ko zubaan se
woh khaayaal maan tak hi simte the kabhie
-tushar

Wednesday, November 01, 2006

shayyar

yesterday was talking to Rohit ( who writes but very rare) abt my writing style.he wants to know what pain I have that I can pen down so much as a "shaayar". I said I have none.He said to be a poet u needs to be in pain , as chakresh also said once in my room .So I just said to him

dard-e-dil sunaate to shayyad shayar kahlate
abhi to bas haal-e-dil sunaate hai
-Tushar