Wednesday, January 31, 2007

Leaving Gb-Team

Change is the only constant
Living with them is Present
Looking apprehensively at advent of future
Admiring the footsteps marked as past
Yesterday was an experience
Tomorrow is just reflections
Today is a bridge, A tunnel, a context
Whose QoS needs to be negotiated?
The flow of past
This routing area update is
Just a transfer to
Lossless High speed future
Some contacts to be reset
Some to be provisioned
Few names as critical to be kept
To be deleted
Meeting together may be suspended
But sitting will soon be resumed
World is a router
So packet will again collide
As IP address are there
Eye contact just blocked, not down dear
Smile is inevitable, a static memory
Moving with loving contexts
Dumping all the leaks behind
‘Am on a journey
Just changing cell, just TLLI’s
Not the IMSI

U all have entered in memory’s Rb-tree
Your search will be a return, GPRS_SUCCESS always
As some tunnels are not just created, but stays
Keeping Life’s Stack UP running with them
Always GREEN LIGHT ON
Always as FUN
-Tushar

Monday, January 22, 2007

woh hai to...

woh khooye aapne main hi bas rahte hai
humaare paas hoone ke ehsaas se bhi bekhabar rahte hai

hum aapni kya kahe

woh saath humaare nahin, aisa to hoota nahin
kabhie saamne baithe rahte hai
kabhie hum unke khaayaaloo main rahte hai

paloo main mahkte hai ,
ehsaaso koo bahkate hai
hum unke saath jeete hai
hum unhi pe marte hai
patoo ke saath lahraate hai
gulmohar humare ban jate hai
unhi ke saath chalte hai
zindagi woh humaari thamte hai
peele saarsoo se chahkte hai
basanti shaam se bahte hai
woh hai to aandhere jagmagate hai
woh nahin to taare humare saathi ban jaate hai

Woh hai to hum hai
humaari sooch, humaari haqueqat hai
humaari saanse, humaari aahe hai

wohi to hai jo humme

Ek roh se utha
Ek jaan bana jaate hai

woh saath humaare nahin, aisa to hoota nahin
kabhie saamne baithe rahte hai
kabhie hum unke khaayaaloo main rahte hai
-Tushar

chehre...

Zindagi ke chehre maut ke saath yoon robaroo hoonge
khawab humaare un chehroo se takra bas bhikhre hoonge
soocha na tha un mukhootoo ke bheed main yoon tanha hoonge
aapni laash par phele aansoo bhi roodaali ke hoonge
-Tushar

Kuch baatein ...

Humaari ashko ki nami ataa unki hai
samjhe aab unhe chaana khata humari hai

************************************************************************

Dard chubhta nahi duniya ke safed sawaloo se
sharmshaar hai unke likhe jawaboo ki shahayai se

************************************************************************
phighaltee nahi laboo par thahrti maayush hansi se
jalte hai beraang nazar ke darpan se

************************************************************************
aapni dastaan tanhaayioon ki zabaan sunate nahin
mausamoo main agar unki yaadoon ke sawan hoote nahin

************************************************************************
sawari hai zindagi doostoon ne hi kuch aise
begaanoo main bhi chehre aapnoo ke khiltee hoo jaise

************************************************************************
Thahr paate ye badte raastee manzil tak pahuchke
tham lete humme woh bas thoda badke bas thoda muskurake
************************************************************************
-Tushar

Thursday, January 18, 2007

Lata ji

I had a collection of songs, a pack of 5 cassettes, for Lata ji.IN that there were lot many persons who said something abt Lataji after which the songs followed.Here is one of them
Smita patil
Didi ki main bhakt hoon, har waqt unki Awaaz sunti hoon to mere Rongte khade ho jate hain.Didi ko main un Logon mein se Manti hoon jinhone is Duniya mein bahut bade kam kiye hain. Jinki awaaz ne is duniya ke logon ko dukh ke Mauken per Shanti di hai. Didi ke samne bus yahi kah sakhti hoon ki jahan Devatv ki Prachti hoti hain Uske Samne sirf apne Haath judte hain.
The song which followed this was "Saware ke raan ranchi rana ji" , a bhajan by Meerabai...still in serach of this song again


NARGIS DUTT (actress):
Lata kisi tareef ki nahin, balki parastish ke kabil hain. Unki awaaz sunne ke baad kuch aisa aalam-tari ho jata hai jise bayaan karna bada mushkil hain. Yun samajhiye jaise koi dargah ya mandir main jaye, to vahan pahunch kar ibadat ke liye khud-ba-khud sar jhuk jaata hain aur aankhon se besakhta aasoon behne lagte hain.

NOORJEHAN (singer/actress):
Log kahte hain ki Lataji tumhe Itna Manti hain, Lataji tumhe Ustad samjhti hain, tumhe Pyar karti hain. Yeh sab Main samajhti hoon unka Badapan hain kyonki Lata to Lata hain. Lataji ki tarah meri nazar mein to koi aaj tak Paida nahin hua.,
Lataji ko Allah ne awaaz di hain, Ilm unhe unke Wallid Saab se mila, Khuda ki taraf se unpar Karam hain.


REKHA (actress)
Lata Mangeshkar ek Ehsaas hain jo Mehsoos kiya jata hain Baiyan nahi.Yeh ek Naam hain jisse Sun kar mere Man mein Sukoon aur Chehre par Muskurahat aa jati hain. To me she is etherial someone from another world, larger than life, no less than a Godess a 'Devi'.
This one Name evokes a million feelings inside me. I have cold feet, weak knees, a knot in my stomach, a smile on my lips & tears in my eyes. In other words I feel 'Alive' when I hear this name Lata Mangeshkar.

Monday, January 15, 2007

For Priyanka's Wedding site

Woh saath chale to zindagi humari hai
khawaish khwaboo ki haqueqat humari hai ...
-Tushar

Intezaar...

woh saath hai to waqt ki raftaar mano thamte nahin
woh pass nahin to pal mano jaise badte hi nahin
intezaar ke lamhoon main sapney hai haqueet nahin
ab zindagi khawahish ke khaboo main katte nahin
-Tushar

Friday, January 12, 2007

Aadat-2 ...

Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
kabhi saaath jeene ki aadat thi
aaj khawaboo main milne ki aadat hai

Aadat bhi ajab hai
roop badal peeghalti-peeghlaati hai
kabhi haansti, kabhi roothti manati hai

Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
kabhie saath kadam badane ki aadat thi
aaj un nisaanoo ko thaamne ki aadat hai

aadat bhi ghajab hai
laboo ke ghulab aakhoon ki nami hai
palkoon par khelti, roolati satati hai
kabhi yoon hi muskuraati hai

Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
Kabhi har lamha tujhe paane aadat thi
aaj har pal tujhe khoone ki aadat hai

Aadat bhi aadat hai
kabhi banati kabhi bigadti hai
har saans se ban jaate hai meri
par yaad teri kahlati hai

aadat to aadat hai
dil ki dhakan main meri bajti hai
par dhun teri sunate hai
haathoon ki lakeroon main to sajti nahin
aur taqdeer meri kahlati hai

Aadat to aadat hai
aakhoon se chalakti hai meri
par tanhaayee teri ban jaati hai


Aadat to bas aadat hai
mujhe aadat ki aadat hai
aadat jo meri hai
aadat jo tujhe mera banate hai

aadat bas aadat hai
Aadat woh meri hai, par,
Aadat mujhe teri hai
-Tushar

aadat-1 ...

Kitne mere woh hai kareeb
ehsaas jaane se unke yeh eise hua
rukhsat hoote bheege lamhoon se bas itna kaha
"humme aapki AADAT se hoon gaye hai"
-Tushar

Friday, January 05, 2007

... hoon aaj

baandh kar aakhoon main aapna hi sapna
duniya se kuch parda kar raha hoon aaj
teri yaaad, tere gham teri aarzoo aur khudko
kahi tanhayioon main zee raha hoon aaj
un andheroo main jisme to aaj bhi meri hai
tere khatoon ko jala rooshan kar rah hoon aaj
-Tushar